Diwan e Ghalib

December 25, 2016 | Author: Moh'd Athar Khan | Category: N/A
Share Embed Donate


Short Description

Download Diwan e Ghalib...

Description

Urdu 's Great Poet Mirza Asadullah Khan Ghalib

Mirza Ghalib 's Poetry Diwan-e- Ghalib Now Read In Roman Web By :- M.Mubin

Ghazal By Ghalib

Naksh-e-faryadi hai kis ki shokhiy-e-tahreer ka Kagazi hai pairahan har paikar-e-tasweer ka Kaw kaw-e-sakht jane hai tanhaie na poochh Subha karna Shaam ka, lana hai joowey Sheer ka Jazbai be akhtiyar shauk daikha Chahiye synai shamsheer se bahar hai dam shamsheer ka Aagahi dame shunidan jis qadar chahisyy bichhaye Muddua anqa hai apne aalame taqreer ka Bas ki hoon Ghalib ! aseeri mein bhi aatash zair pa Mooai aatash deedah, hai halqah mari zanjeer ka ******************************************* Jarahat tohfa, almas armugan, dage jigar hadia Mubarak bad, Asad! gamkhuare jaane dard mand aaya ******************************************* Juz qais aur koi na aaya barooai kar Sahra magar bah tangiye chashme husood tha Aashaftagi ne naqshe suaida kiya durust Zahir hua ki, dag ka sarmaya door tha Tha khuaab mein khayal ko tujh se muamila Jab aankh khul gaie, na zaiya'n tha na sood tha Laita hon maktabe game dil mein sabaq, hunooz Laikin yahi ki "raft" gaya' aur "bood" tah Dhanpa kafan ne dage uyoobe barahnagi Mein, warna har libas mein nanage wajood tha Teeshe bagair, mar na saka kohan, Asad! Sargashtai khumare rusoom-o-quood tha ******************************************* kaihtai ho, na dengay hum dil agar pada paya Dil kahan gum kijie, hum nai muddua paya Ishq se tabiat nai zeest ka maza paya Dard ki dawa paye, dard bai dawa paya Doustdare dushman hai, aitemade dil maloom Aah be asar daikhi, nalah nar sa paya Sadgi-o- purkari, baikhudi-o-hushaiari Husn ko tagaful mein, jurat azma paya Guncha phir laga khilne, aaj hum nai apna dil Khun kiya hua daikha, gum kiya hua paya Hale dil nahin maloom laikin is qadar maloom Hum ne barha dhondha tum ne barha paya Shore pande naseh ne zakham par namak chidka Aap se koi pooche, tum ne kaya maza paya

******************************************* Dil mera soze nihan se bai muha jal gaya Atashe khamosh kai manind goya jal gaya Dil mein zauqe wasle yar tak baqi nahin Aag as ghar mein aisee lagi ki jo tha jal gaya Mein adam se bhi parey hon' warna gafil!barha Meiri aah astin se bal anqa jal gaya Arz kijiai jo har andaishah ki garmi kahan Kuch khayal aya tha wahshat ka ki sahra jal gaya Dil nahin tugh ko dikhata warnah dagon ki bahar Is chiragan ka, karon kya, farma jal gaya Mein hon aur afsurdagi ki arzo Ghalib! Ki dil Daikh kar tarze tapake ahle dunia jal gaya ******************************************* shauq har rung raqeeb sar-o-saman nikla qais tasweer ke pardey mein bhi uryan nikla Zakham ne dad na di tngie dil ki ya rab! Teer bhi seenai bismil se pur afshan nikla Booye gul, nalai dil, doode chirage mahfil Jo teri bazm se nikla so parishan nikla Dile hasrat zadah tha maidai lazzat dared Kam yaron ka baqadre lab-o-dandan nikla Thi nau amooze fina, himmate dushwar pasand Sakht mushkil hai ki, ye kam bhi asan nikla Dil mein phir griye ne ek shore uthaya Ghalib Aah! jo qatrah nah nikla tha, so toofan nikla ******************************************* Dhamki mein mar gaya, jo nah babe naberd tha Ishq naberd paishai talabgar merd tha Tha zindagi mein marg ka khatka laga hua Udne se paishtar bhi mera rung zard tha Taleef nuskhaai wafa kar raha thamein Majmuai khayal abhi fard fard tha Dil ta jigar ki sahile daryae khon hai ab Is rahguzar mein jalwai gul aage gird tha Jati hai koi kash-makash andohe ishq ki Dil bhi agar gaya, to wahi dil ka dard tha Ahbab charah sazie wahshat na kar sake Zindan mein bhi khayal byaban naward tha Ye lashe be kafan Asad khastah jaan ki hai Haq magfirat kare ! ajab Azad merd tha ******************************************* Shumare subahe margoobe bute mushkil pasand aya Tamashaei bah yak kaf burdan sad dil pasand aya Bafaize baidili naumedi jawed asan hai Kashayash ko hamara uqdai mushkil pasand aya Hawaai sair gul, aiena bemahri qatil Ki andaze bakhon galteedan bismil pasand aya *******************************************

Daher mein, nakshe wafa wajhe tasalli na hua Hai ye wo lafz ki sharmindai mani na hua Sabzai khat se tera kakule sar kash, na daba ye zamurrad bhi, hareef dame afaye na hua Mein ne chaha tha ki andohe wafa se chooton Who sitamgar merai mernai pai razi na hua Dil guzargahe khayale mai wo sagar hi sahi Gar nafas jada-e-sar manzile taqwa na hua Hon tere wada na karne mein bhi razi ki kabhi Gosh minnat kasha gulbange tasalli na hua Kis se, mahromia kismat ki shikayat kijiye Hum ne chaha tha ki mar jayein, so wo bhi na hua Mar gaya sadmai yak lab se Ghalib Natwanee se hareef dame iesa na hua ******************************************* Sataish gar hai zahid is qadar bage rizwan ka Who ek guldastah hai hum bakhudon ke taqe nisiyan ka Bayan kya kijeye baidad kawishhaye masgan ka Ni her ek qatrai khoon danah hai tasbeeh marjan ka Na aaye satwate qatil bhi mane, mere nalon ko Liya danton mein jo tinka, hua reesha neestan ka Dikhaonga tamasha, di agar fursat zamane ne Mera her dage dil ek tukhm hai sarwe chiragan ka Kiya aiena khane ka woh naksha tere jalwe ne Kare jo partawe khursheed alam shabnamistan ka Meri tamer mein, muzmir hai ek soorat kharabi ki Huola barq-e-khirman ka, hai khoone garm dahkan ka Uga hai ghar mein her so sabzai, werani tama shakir Madar, ab khodne par ghass ke hai mere darban ka Khamoshi mein nihan, khoon gashtah lakhon arzoain hain Chirage murda hon, main be zuban gore gareeban ka Hnooz ek partawe nakshe khayale yar baqi hai Dide afsurda goya hujrai hai usuf ke zindan ka Bagal mein gair ki aaj aap sote hain warnah Sabab kaya, khuaab mein aakar tabassum haai pinhan ka Nahin maloom, kis kis ka laho pani hua hoga Qyamat hai shrik alodah hona teire masgan ka Nazar mein hai hamari jadai rahe fana, ghalib! Ki yeh shirazah hai aalam ke ajzaie parishan ka ******************************************* Na hoga ek bayan mandagi se zauq kam meira Hubabe maujai raftar hai naqshe qadam mera Muhabbat thi chaman se, lakin ab ye bai dimagi hai Ki mauje booai gul se nak mein aata hai danm maira ******************************************* Sarapa rahen ishq-o-naguzire ulfate hasti Ibadat barq karta hon aur afsos hasil ka Baqadre zarf hai, saqi! khumare tashna kami bhi Jo too daryai mai hai, to main khamiyazah hon sahil ka

******************************************* Mahram nahi hai to hi, nawahai raz ka Yan warnah jo hijab hai, prdah hai saz ka Range shikastah subhe bahare nazara hai Ye waqt hai shguftane gulhai naz ka Too aur sooai gair nazar hai tez tez! Main aur dukh tari mazah hai daraz ka! Sarfah hai zabte Aah mein mera, wo gar na main Tumah hon eak hi nafse jaan gudaz ka Hain baski, joshe badah se shisai uchal rahai Her gosai bisat, hai sar shishah bad ka Kawish ka dil kare hai taqazah kiye hai hunooz Nakhun pai qarz us girah neem baz ka Taraj kawishe game hijran hua Asad Seenah ki tha dafeenai, guhar hai raz ka ******************************************* Bazame shahenshah mein, ashaar ka daftar khula Rakhiyo yarab! ye ganjenai gauhar khula Shab huie, phir anjum rakhshandah ka manzar khula Is takalluf se ki goya butkadai ka dar khula Gar cheh hon deewana, par kiyon dost ka khaon faraib Aastin mein dashnah pinhan, hath mein nashtar khula Go na samjhon uski batein, go na paon uska bhaid Par yeh kya kam hai ki, mujh se woh pari paikar khula Hai khayale husn mein husne amal ka sa khayal Khuld ka ek dar hai meri gore ke ander khula Munh na khulnai par hai woh aalam ki dakha hi nahin Zulf se badkar niqab us shokh ke munh par khula Dar pak rahne ko kaha kah ke kaisa phir gaya Jitne arse mein mera lipta hua bistar khula Kiyon andhaire hai shabe gam? hai kiyon balaon ka nuzool Aai udher hi ko rahey ga deedai akhter khula? Kaya rahon gurbat mein khush, jab hua hwadis ka ye hal Namah lata hai, watan se, namah bar aksar khula Uski ummat mein hon main, maire rahain kiyon kam band Waste jis shahei ke, Ghalib! gunbade bai dar khula ******************************************* Shab ke barqe soze dil se zahrai abre aab tah Sholai jawwalah, her ek hlqai girdab tha waan karam ko, uzre barish tha gina nageer kharam Girye se yan, panbai balish kafe sailab tha Waan khud aaraye ko tha moti pirone ka khayal Yaan hujome ashk mein tare nigah nayab tha Jalwai gul ne kiya tha waan chiragan aanjoo Yaan rawan masgane chashme tar se khoone nab tah Yaan sare pur shore, be khuabi se tah deewar jo Waan woh farqe naaz, mahwe balise kamkhuab tha Yaan nafas karta tha raushan shame bai khudi Jalwai gul waan bisate suhbate ahbab tha Farsh se ta arsh waan toofan tha mauje rang ka Yaan zamin se aasman tak shokhtanka bab tha

Na gahan is rung se khoonabah tpkane laga Dil zauqe kawishe nakhun se lazzat yaa b tha. ******************************************* Nalai dil mein shab andaze asar nayab tha Tha sapnde bazme wasle gair, go baitab tha Maqdame sailab se kaya nishat ahung hai! Khanai aashiq magar saz sadaye aab tha Nazishe aiyam khakaster nasheeni, kaya kahon Pahloai andaishah, waqfe bistre sanjab tha Kuch na ki apne junone narsane, warnah yaan Zarrah zarrah rokashe khurshid alam tab tha Qaf Aaj kiyon parwah nahin apne aseeron ki tujhe Kal talak tera bhi dil mehro wafa ka ta j tha Yad kar woh din ki her ek halqah terai dam ka Intezare seed mein ek deedai baikhuab tha Main ne roka raat ghalib ko, woh gar na daikhte Us ke seele girya mein, gardon kafe sailab tha. ******************************************* Eik eik qatre ka mujhe daina pada hisab Khoone jigar wadeeate masgane yar tha Ab main hon, aur matame yak shahre arzo Toda jo tum ne aienai, tamsal dar tha Galiyon mein nash ko khinchai phiro ki maim Jaan dadai hawai sare rahguzar tha Mauje shrab daste wafa ka na pooch hal Her zarrah misle johare taig aabdar tha Kam jantai thai hum bhi game ishq ko, par ab Daikha, to kam huai pah gam rozgar tha ******************************************* Baskih dushwar hai her kaam ka asan hona Admi ko bhi moyassar nahin insan hona Girya chahai hai kharabi mere kashane ki Dar-o-diwar se tapke hai biyaban hona Waye deewanagiye shauq, ki her dam mujhko Aap jana udhar, aap hi hairan hona Jalwah az baski taqazai nigah karta hai Jo her aiena bhi chahey hai masgan hona Ishrat qatalgah ahle tamanna mat pooch Eid nazzarah hai shadheer ka uryan hona Ley gai khak mein hum dage tamannai nishat To ho aur aap bah sad runge gulsitan hona Ishrate parai dil, zakhme tamanna khana Lazzate raishe jigar, garqe namkdan hona Kee mere qatl ke bad, us ne jafa se tauba Hai, us zoude pashiman ka pashabman hona! Haif, us char girah kapde ki qismat ghalib! Jis ki qismat mein ho aashiq ka gariban hona *******************************************

Shab khumar shauq saqi rustakhir andaza tha Ta muheete badah, soorat khanahe khamyazah tha Yak qadam wahshat se dares daftr imkan khula Jadaih ajzai do alam dasht ka shirazah tha Mane wahshat kharami hai laila kaun hai Khanai manon sahra gird be darwazah tha Pooch mat rusqai andaze istegnaye husn Dast mahoone hena, rukhsare rehan gazah tha Nalai dil ne diye auraqe lakht dil be bad Yadgare nalah, yak deewan be shirazah tha. ******************************************* Dost, gam khuari mein meri saee farmawenge kaya Zakham ke bharne talak nakhun na bad jainge kaya Bai niyazi had se guzri, bandai parwer! kab talak Hum kahenge hale dil aap farma denge kaya? Hazrate naseh gar aawen, deda-o-dil farshe rah Koi mujh ko ye to samjha do ki samjhawenge kaya Aaj wa'n taig-o-kafan bandhe huai jata hon main Uzar mere qatal kar ne woh ab lawenge kaya? Gar gaya naseh ne hum ko qaid, achcha, yon sahi Ye junone ishq ke andaz chut jawenge kaya? Khanai zade zulf hain, zanjeer se bhagenge kiyon Hain giraftare wafa, zindan se ghabrawenge kaya! Hai ab is mamoorah mein qahte game ulfat, Asad Hum ne mana dilli mein rahenge khawenge kaya ******************************************* Ye na thi hamari qismat ki wsale yaar hota Agar aur jete rahte, yahi intezar hota Tere wade pe jiye hum, to yeh jaan jhoot jana Ki khushi se mer na jate, agar atebar hota Teri nazuki se jana ki badha tha ahead booda Kabhi too na tod sakta agar ustwar hota Koi mere dil se poche tere teere neem kash ko Ye khlish kahan se hoti jo jigar ke par hota Ye kahan ki dosti hai ki bane hain dost naseh Koi charah saz hota, koi gamgusar hota Rage sung se tapakta wo laho ki, phir na thamta Jise gam samajh rahe ho, ye agar sharar hota Gam agarche jaan gusal hai, pah kahan bachin ka dil hai Game ishq gar na hota, game rozgar hota Kahon kis se mein ki kaya hai, shbe gam buri bla hai Mujhe kaya bura tha merna, agar eik bar hota Huai mer ke hum jo ruswa, huai kion na garqe dariya Na kabhi janazah uthta na kahin mazar hota Use kaun daikh sakta ki ygana hai woh yakta Jo doie ki bo bhi hoti to kahin dochar hota Ye msaile tasuuf, ye tera bayane ghalib! Tujhe hum wali samajhte, jo na badai khuar hota

Hawas ko hai nishate kar kaya Na ho meran to jine ka mazah kaya hai Tajahul paishgi se muddua kaya Kahan tak ai srapa naz kaya kaya Nwazishhaie be jaan daikhta hon Shikayathai rangin ka gila hai Nigahe be muhaba chahta hon Tgaful haye tamkin azman kaya Faroge sholai, khas, yak nafas hai Hawas ko pas namose wafa kaya! Nafas mauje muhite baikhudi hai Tgaful haye saqi ka gila hai Dimage etre pairahan nahin hai Game awargi haye saba kaya Dil her qatrah hai saze ana al baher Hum uske hai hamara poochna kaya Muhaba kaya hai zamin idhar daikh Shidane nigah ka khoon baha kaya! Sun ai gar tagre jinse wafa! Sun Shikaste qeemat dil ki sada kaya Kiya kis ne jigar dari ka dawa? Shakeebe khatire asiq bhala kaya Ye qatil, wadaye sabr azman kiyon? Ye kafir fitnai taqat ruba kaya! Balai jaan hai Ghalib us ki her bat Ibarat kaya, asharat kaya, ada kaya ******************************************* Dar khore qaher-o-gazab, jab koi hum sana hua Phir galat kaya hai ki hum sa koi paida na hua Bandagi mein bhi who azadah wo khud bin hai ki hum Ulte phir aye, dare kaba agar wa na hua Sab ko maqbool hai dawa teri yaktai ka Robaro koi bute aiena seema na hua Kam nahin nazish hunami chashm khoban Tera bimar, bura kaya hai, gar achcha na hua Seene ka dag hai, woh nalah kab tak na gaya Khak rizq hai, woh qatrah ki dariya na hua Nam ka mere hai jo dukh ki kisi ko na mila Kam mein mere hai, jo fitna ki barpa na hua Her bine mo se dame zikr na tapke khonab Hamzah ka qissa hua, ishq ka charcha na hua Qatre mein dariya dikhai na de aur juzo mein kul! Khail ladjon ka hua, dedai bena na hua Thi khabar garm ki Ghalib ke udenge purze Daikhne hum bhi gai thai, pa tamasha na hua ******************************************* Asad! hum who junon jolan gadaye be sar-o-pa hai Ki hai sar panjai masgan aho, puste khar apna ******************************************* Pai nazrr karam tohfa hai sharme narsaie ka

Bakhon galteedai sad rung dawa parsaie ka Na ho husne tamasha dost ruswa be wafaie ka Bah mohre sad nazar sabit hai dawa parsaie ka Zkate husn de ai jalwai benash !ki moher aasa Chirage khanai darwesh ho, kasah khudaie ka Na mara jan kar be jurm, gafil; teri gardan par Raha maninde khoone be gunah, haq ashnaie ka Tamannaye zaban mahwe sapase be zabani hai Mita jis ne taqaza shikwai be dast-o- paie ka Wahi ek bat jo yan nafs, nikhate gul hai Chman ka jalwah, baies hai meri rungin nwaie ka Dahane her but paigarah jo zanjeer ruswaie Adam tak bewafa! Charcha hai teri bai wafaie ka Na de namein ko etna tool, Ghalib!mukhtasar likh de Ki hasrat sanj hon, arze sitam haie judaie ka ******************************************* Gar na andohe shabe furqate bayan ho jaiga Be takalluf dage mah, mahere dahan ho jaiga Zuhra gar shame hijr mein hota hai aab Patawe mahtabe, seele khanma ho jaiga Le to lon sote mein uske paun ka bosa magar Aise baton se woh kafir badguman ho jai ga Dil ko hum sarfe wafa samajhte thai, kaya maloom Yane ye pahle hi nazre imtehan ho jaiga Sab ke dil mein hai jagah jo to razi hua Mujh pai goya ek zamana maherban ho jaiga Gar nigahe germ farmati rahi taleeme zabt Shaglah khas mein, jaise khoon rag mein nihan ho jaiga Bag mein mujh ko na le ja warna mere hal par Her gule tar, eik chashme khoon fishan ho jaiga Wai ! ger mera tera insaf mahsar mein na ho Ab talak to ye tawaqqo hai ki wan ho jaiga Faieda kaya soch, aakhir to bhi dana hai Asad! Dosti nadan ki hai, ji ka zeyan ho jaiga ******************************************* Derde minnat kashe dawa na hua Main na achcha hua bura na hua Jama kerte ho kiyon raqeebon ko Ek tamasha hua, gila na hua Hum kahan kismat azmane jaein To hi jab khanjar azma na hua Kitne shiren hain tere lab ke raqeeb Galiyan kha ke be maza na hua Hai khabar geem un ke ane ki Aaj hi ghar mein boriya na hua Kaya woh namrood ki khudaie thi? Bandagi mein mera bhala na hua Jaan di, di huie usi ki thi Haq to yon hai ki haq ada na hua Zakhm gar dab gaya, laho na thama

Kaam gar ruk gaya, rawa na hua Rahzani hai ki dil satani hai? Le ke dil dil sitan rawa na hua Kuch to padiye ki log kahte hain "Aaj Ghalib gazak sara na hua" ******************************************* Gila hai, shauq ko, dil mein bhi tangie ja ka Guher mein maho hua iztarab dariya ka Ye janta hon ki to aur pasuhkhe maktoob! Magar sitamzadah zauq khamah farsa ka Hena pai khizan hai, bahar agar hai yhi Dwame kulfate khatir hai, aish duniya ka Game firaq mein, takleef saire bag na do Mujhe dimag nahi khanda haie bai ja ka Hunooz mahramie husn ko tarasta hon Kare hai her bune mo, kam chashme bena ka Dil us ko pahle hi naaz-o-ada se dai baithe Hamein dimag kahan husn ke taqaza ka! Na kaih ki girya ba miqdare hasrate dil hai Meri nigah mein hai jama wo khraj dariya ka Falak ko daikh ke karta hon us ko yad Asad! Jafa mein uski hai andaze kar ferfa ka ******************************************* Qatrai mai, baski hairat se nafse parwer hua Khate jame mai, saraser rishtai gauher hua Aetebare ishq ki khana khrabi daikhna Gair ne ki aah! laikin woh khafa mujh per hua ******************************************* Jab ba raqreebe safer yar ne mahmil bandha Tapishe shauq ne her zarre pe ek dil bandha Ahle benash ne ba hairatkadai shokhiye naaz Jauhare aiena ko totiye bismil bandha Yas-o-ummeed ne yak arbadai maidan manga Ujze himmat ne tilisme dile saiel bandha Na bandhe tashnagiye shauq ke mazmon Ghalib! Garche dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha ******************************************* Main aur bazme mai yon tashna kam aon! Gar main ne ki thi tauba, saqi ko kaya hua tha ? Hai eik ter jismein dono chidey pade hain Woh din gai ki apan dil se jigar juda tha Darmandagi mein Ghalib! Kuch bin pade to janon Jab rishtah be girah tha, nakhun girah kusha tha ******************************************* Ghar hamara jo na rotey bhi to weran hota Baher gar baher na hoat, to biyaban hota Rangiye dil ka gila kaya, ye woh kafir dil hai Ki agar tang na hota to parishan hota

Bad yak umre wara, bar to daita bare Kash rizwan hi dariya ka darban hota! ******************************************* Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hoata Duboya mujh ko hone ne, na hota main to kaya hoata! Hua jab gam se yon bahees, to gam kaya ser ke katne ka Na hota gar juda tan se, to zano per dhra hota Huye muddat ki Ghalib mer gaya, per yad aata hai Who her ek bat pe kahna ki yon hota to kaya hota? ******************************************* Yak zarrai zameen nahin bakar bag hai Yan jadah bhi, fatila hai lale ke dag ka Be mai, kise hai taqate ashobe agahi Khinch hai ajze hauslah ne khat iyag ka Bulbul ke karobar pe hai khandhai gul Kahte hai jis ko ishq khlal hai dimag ka Tazah nhin hai nashshai fikre sukhan mujhe Tiyakiye qadeem hon dode chirag ka Sau bar bande ishq se azad hum huai Per kaya karien dil hi ado hai frag ka Be khoone dil, hai chashm mein mauje nigah gubar Ye maikadah khrab hai main ke surag ka Bage saguftah tera bisate nishate dil Abre bahar, khumkadah kis ke dimag ka! ******************************************* Woh meri chaine jabeen se game pinhan samjha Raze maktob bah be rabti unwan samjha Yak ulfat baish nahin saiqale aiena hunoz Chak karta hon, main jab se gariban samjha Sherhe asbabe giraftari khtir mat pooch Is qadar tang hua dil ki main zindansamjha Badgumani ne chaha use ser germe khram Rukh oe her qatrah araq dedai hairan samjha Ajz se apne ye jana ki woh bad kho hoga Nabze khas se tapishe shola sozan samjha Safre ishq mein ki zof ne rahat talabi Her qadam saie komain apne shabistan samjha Tha gurezan masrai ya rse dil ta dame maerg Dafye paikane fiza is qadar asan samjha Dil diya jan ke kiyon us ko wafadar asad! Galti ki kih jo kafir ko musalman samjha ******************************************* Phir mujhe dedai ter yad aya Dil jigar tashnai feryad aya Dam liya tha na qayamat ne hunoz Phir tera waqte safer yad aya Sadgi haye tamanna, yanee Phir woh nirunge nazar yad aya uzro amadgi ai dil!

Nalah kareta tha jigar yad aya Zindagi yon bhi guzar hi jati Kiyon tera rahe guzar yad aya Kaya hi rizwan se ladaee hogi Ghar tera khuld mein gar yad aya Aah woh jurate feryad kahan Dil se tang ake jigar yad aya Phir tere koche ko jata hai khayal Dile gam gushtah magar yad aya Koi werani si werani hai! Dasht ko daikh ke gher yad aya Main ne majnon pe ladakpan mein Asad! Sung uthaya tha, kih ser yad aya ******************************************* Huie takheer to kuch baise takheer bhi tha! Aap ate the magar koi ana geer bhi tha! Tum se baija hai mujhe apni tabahi ka gila Us mein kuch shaibakhoobiye taqdeer bhi tha To mujhe bhool gaya ho to pata batla doon Kabhi fitrak mein tere koi nkhcheer bhi tha? Qaid mein hai tere wahshi ko tere zulf ki yad Han kuch ek runj giran bariye zanjee bhi tha Bijli ek kond gaye ankhon ke agey to kaya! Bat kerte, ki mein lub tashnai taqreer bhi tha Usuf usko kahon, aur kuch na kahe khair huyee Gar bigad baithey to main laiqe tazeer bhi tha Daikh kar gair ko kiyon ho na kalaja thanda Nalah karta tha wale, talibe taseer bhi tha Paishe mein aib nhin, na ferhad ko nam Hum hi aashaftah saron mein woh jawan meer bhi tha Hum the marne ko khade pas nah aya na sahi Akhir us shokh ke terkash mein koi teer bhi tha! Pakde jate hai farishton ke likhe per nahaq Admi koi hmara dame tahreer bhi tha Raikhte ke tum ustad nahin ho Ghalib! Kahte hain agle zamane mein koi meer bhi tha ******************************************* Labe khushk der tashnagi murdgan Ziyarat kadah hon dile azurdgan ka Hama na umeedi, hama bad gumani Main dil hon faraibewafa khurdgan ka ******************************************* To dost kisi ka bhi sitam gar na hua tha Auron pe hai woh zulm ki mujh per na hua tha Choda mahe nakhshab ki trah daste qaza ne Khurseed hunooz uske braber na hua tha Taufeeq bandazai himmat hai jhan azal se Ankhon mein hai woh qatrah ki gauher na hua tha Jab tak ki nah daikha tha qade yar ka alam Main motaqide fitnai mahsher na hua tha

Mein sadah dil azurdagiye yar se khush hon Yani sabqe shauq mukarraa na hua tah Deryai muasi tutunuke aabi se hua khushk Meira sare daman bhi abhi tter na hua tha Jari thi, Asad! dage jigger se meri tahseel Atashkadah, jageere samnder na hua tha ******************************************* Shab kih woh majlis faroze khiwate namoos tha Rishtai her shama khare kaswate fanoos tha Mashhade aashiq se koson tak jo ugti hai hena Kis qadar yarab !hlake hasrte paboos tha Hasile ulfat na dikha, juz shikaste arzo Dil bah dil paiwastah, goya yak labe afsos tha Kaya kahon, bimari gam ki fragat ka bayan Jo ki khaya khoone dil, be minnate kaimoos tha ******************************************* Aiena daikh wo apna sa munh le ke rah gai Sahab ko dil na daine pe kitana guroor tha Qadid ko apne hath se gardan na mariye Us ki khta nahin hai ye mera qusoor tha

Arze niyaz ishq ke qabil nahin raha Jis dil pe naaz tha mujhe woh dil nahin raha Jata dage hasrate hasti liye huai Hon shamae kushtah, der khore mahfil nahin rha Merne ki ai dil ! aur hi tadbeer ker ki main Shayane dast-o- bazuai qatil nahin raha Brooe shash jihat dare aiena baz hai Yan imtiyaze naqis-o-kamil nahin raha Wa ker diye hain shauq ne bnde neqabe husn Gair az nigah, ab koi hail nahin raha Go main raha raheene sitamhaye rozgar Laikin tere khayal se gafil nahin raha Dil se hawa ki kishte waea mit gayee wahan Hasil sewai hasrate hasil nahin raha Baidade ishq se nahin darta magar Asad! Jis dil pe naaz tha mujhe who dil nahi raha ******************************************* Rashk kahta hai ki, uska kagair se akhlas haif! Aqal kahti hai hai ki, woh be muhre kis ka ashna! Zarrah zarrah sagar maikhani neerung hai Gardishe majnon bah chshmak haye lila ashna Shauq hai saman ter az nazish arbab ajz Zarrah sahra dast gah-o-qaterah dariya ashna Mein aur eik afat ka tukda woh dil wahshi kih hai Aafiyat ka dushman aur awargi ka ashan Shikwah sanj rashk hum deegar nah rahna chahiye Mera azano monis aur aienai tera ashan

Kohan naqash yak tamsal sheerin tha, Asad! Sung se ser mar kar, huai na paida ashna ******************************************* Zikr us pari wash ka, aur phir bayan apna Man gaya raqeeb aakhir, tha jo razdan apna Mai woh kiyon bazm gair mein yarab! Aaj hi un ko hua manzoor un ko imtehan apna Manzar ek bulandi par aur hum bna sakte Arhs se edhar hota, kash ke mkan apna! De who jis qadar jillat hum hansi mein talenge Bare ashna nikla, unka pasban apna Derde likhon kab tak jaon un ko dikhla don Ungliyan figar apni, khamah khonchkan apna Ghiste ghiste mit jata, ap ne abas badla Nanuge sajdah se mere sung aastan apna Ta kare na gammazi, kar liya hai dushman ko Dost ki shikyat mein hum ne humzuban apna Hum khan ke dana the, kis hunar meim yakta they Be sabbab hua Ghalib dushman asman apna ******************************************* Surmai mufte nazar hon, meri qismat hai yahi Ki rahai chashme kharidar pe ahsan mera Rukhsate nalah mujhe de ki mubada zalim! Tere chehre se ho zahir game pinhan mera ******************************************* Gafil, bah wahem naaz khud ara hai warna yan Be shanai saba nahin turrah giyah ka Bazme qdah se aish tamanna na rakh ki rung Said zadam jastah hai is damgah ka Rahmat agar qabool kare, kaya baeed hai Sharmindagi se uzr na karna gunah ka Maqtal ko kis nigah se jata hon mein ki hai Pur gul khaiale zakham se daman nigah ka Jaan dar hawai yak nigah garam hai, Asad! Parwanah hai wakeel tere dad khuah ka ******************************************* jaur se baz ayeper baz aiem kaya! Kahte hain, hum tujh ko munh dikhai kaya Rat din gardish mein hain sat aasma Ho rahe ga kuch na kuch, ghabraein kaya! Lag ho, usko hum samjhein ge lagau Jab na ho kuch bhi, to dhoka khaein kaya Ho liye kiyon namah bar ke sath sath Yaa rab! Apne khat ko hum pahonchaein kaya! Mauje khoon ser se guzer hi kiyon na jaay Aastane yaar se uth jaein kaya! Umr bher daikha kiya merne ki raah Mer gai phir daikhiye dikhlayen kaya! Poochte hai woh ki, Ghalib kaun hain?

Koi batlawe ki hum batlaein kaya! ******************************************* Latafat be ksafat jalwah paida ker nhin sakti Chaman, zangar hai aeinai bade bahari ka Harrefe joshishe dariya, nahin khuddar-e-sahil Jo saqi ho to, batil hai dawa hoshiyari ka ******************************************* Ishrate qatrah hai, dariya mein fana ho jana Derd ka had se guzarna hai dawa ho jana Tujh se qismat mein reri soorate qafle abjad Tha likha, baat ke bante hi juda ho jana Dil hua kash makash charai zahmat mein tamam Mit gaya ghisne mein is uqdey ka wa ho jana Ab jafa se bhi hain mahroom hum allah allah! Is qader dushmane arbabe wafa ho jana! Zof se giryah mubaddil bah dam serd hawa Bawer aaya hamein pani ka hawa ho jana Dil se mitna teri angusht hinaee ka khayal Ho gaya gosht se nakhun ka zuda ho jana Hai mujhe abre bahari ka baras ker khulna Rote rote game furqat mein fana ho jana Gar nahin nikhate gul ko tere koche ki hawas Kiyon hai girde rahe jolane saba ho jana Bakhshe hain jalwai gul joshe tamasha Ghalib! Chashm ko chahiye her rang mein wa ho jana Taki tujh per khule ajaz hawai saiqal Daikh bersatmein sabz aiene ka ho jana ******************************************* Phir hua waqt ki ho bal kusha mauj-e-shrab De bate mai ko dil-o-doste shana, mauj-e-shrab Pooch mat wajhe seeyah masti arbabe chaman Sayai taak mein hoti hai mauj-e-shrab Jo hua gurqai mai, bakhte rasa rakhta hai Ser se guzre bhi yeh bal huma mauj-e-shrab Hai yeh barsat woh maosam ki ajab kaya hai agar Mauje hasti ko, faize hawa mauj-e-shrab Char mauj uthti hai toofan-e-tarabse her soo Mauj-e-gul, mauj-e-shafaq, mauj-e-saba, mauj-e-bahar Jisqadar rooh nabati hai jigar tashanai naaz De hai taskee'n ba dam aabe baqa mauje shrab Baski daudey hai rag-e-tak mein khoon hoho ker Shahpar-e-rung se hai bal kusha mauj-e-shrab Maujai gul se chiraqgan hai guzar gah-e-khayal Hai tasauor mein zabis jalwah numa mauj-e-shrab Nashe ke perde mein hai mahwe tamashai dimag Baski rakhti hai sere nash-o-hum mauj-e-shrab Eik alam pe hai toofani kaifiyat fasal Maujai sanzai hasti hai zahe mausame gul! Rahbare qatrah badariya hai, khusha mauj-e-shrab! Hosh udte hain mere jalwai gul daikh Asad!

Phir hua waqt ki ho bal kusha mauj-e-shrab ******************************************* Afsos ki dedan ka kaya rizq falak ne Jin logon ki thi der khoore aqde guher angush Kafi hai nishani tere challe ka daina Khali mujhe dikhla ke bwaqt-e-safer angusht Likhta hon Asad! sozish-e-dil se sukhan-e-germ Ta rakh na sake koie mere herf per angusht ******************************************* Rha ger koi ta qyamat slamat Phir ek roz merna hai hazrat slamat! Jigar ko mere, ishq khonaba mashrab Likhe hain khudawand namat!slamat Aler ragm-e-dushman shheed-e-wafa hon Mubarak mubarak slamat slamat Nahin ger ser-o-berg edrak mani Tmashai neerung-e-soorat slamat ******************************************* mun gaien kholte hi kholte ankhein Ghalib! Yar laye meri balin pe use phir kis waqt ******************************************* Amade khat se hua hai serd jo bazare dost Doode shama kushtah tha, shayed khte rukhsare dost Ai dile na aqibqt andaish !zabte shauq ker Kaun la sakta hai tabe jalwai dedare dost Khanai weran sazi-e-hairat tmasha kijiye Soorate naqshe qadam, hon raftai raftare dost Ishq mein badae rashke gair ne mara mujhe Kushtai dushman hon akhir, ger che tha bemare dost Chashme ma raushan, ki us baiderd ka dilshad hai Dedai pur khoon hamara, sagare sershar dost QAF Gair yon karta hai meri pursish, us ke hijr mein Bai takalluf dot ho jaide koi gamkhuare dost Taki main janon ki uski rasaie wan talak Mujh ko daita hai payame wadai deedare dost Jab ki main kerta honapna shikwai zofe dimag Ser kare hai who hadeese zulf anber bare dost Chupke chupke mujh ko rote daikh pata hai, ager Hans ke karta hai bayan shokhiye guftare dost Mehr bani haye dushma ki shikayt kijiye Yan byan kijiye sapase lazzate azare dost Ye gazal apni mujhe ji se pasan ati hai aap Hai radeefe shair mein, Ghalib!az bas takrare dost ******************************************* Gulshan mein band-o-bast brunge digger hai aaj Qumri ka tauq, halqai bairoon der hai aaj Aata hai ek parai dil her fugan ke sath

Tare nafas, kmnde shikare aser hai aaj Ai afiyt kinarah ker, ai intezam chel Sailabe giryah derpai deewr-o-der hai aaj ******************************************* lo hum mareeze ishq ke beemar dar hain achcha agar na ho to masseha ka kaya ilaj ******************************************* Nafs na anjumane arzo se baher kheench Agar shrab nhin, intezare sagat kheench Kmal-e-germi saee tlashe deeda na pooch Barung khar mere aiene se jauher kheench Tujhe bhanai rahat hai intezar ai dil Kiya hai kis ne isharah ki naaze bister kheenh Teri taraf ai ba hasrat nazarai nergis Bah kori dil-o-chashm raqeebe sagar kheench Ba neem gamzah ada ker haqe wadeate naaz Neyam perdai zakhme jigar se khanjer kheench Mere qdah mein hai sohbai atashe pinhan Barooye safrah kbabe dil-e-sikender kheench ******************************************* Husn, gamze ki kshakash se chuta mere bad Bare aram se hain ahle jafa mere bad Mansabe saiftagi ke koi qabil na raha Huie mazolie andaz-o-ada mere bad Shama bujhti hai to usmein se dhuan uthta hai Sholai ishqe seeh posh hua mere bad Khon hai dil ahwale butan per yani Un ke nakhun huai muhtaj hena mere bad Der khore arz nhin johare baidad ko ja Nigahe naaz hai surmein se khafa mere bad Hai junon ahle juno ke liye agoshe wida Chak hota hai gariban se juda mere bad Kaun hota hai hareefe mai murda figane ishq Hai maker labe saqi pe sela mere bad Gam se merta hon ki etna nhin duniya mein koi Ki kare taziyat mahr-o-wafa mere bad Aaye hai baikasiye ishq pe roona Ghalib! Kis ke gher jaye ga sailabe bla mere bad ******************************************* Bla se hain jo ye pashe nazar der-o-deewar Nigahe shauq kjo hain bal-o-per, der-o-dewar Wafoore ashk ne kashane kakiya yeh rung Ki ho gai mere dewa-o-der, der-o-deewar Nahin hai saya, ki sun ker nawaide maqdme yaar Gai hain chand qadam badhter der-o-deewar Huyee hai kis qaderarzani mai jalwah Ki mast hai tere koche mein der-o-deewar Jo hai tujhe sare sauday intezar to aa Ki hai n dokane mtaye nazar der-o-deewar

Hujoome girya ka saman kab kiya mai ne Ki gir padey na mere paon per der-o-deewar Who aa raha hai mere sai se to hum sai mein Huai fida der-o-deewar per der-o-deewar Nazar mein khatke hai bin tere gher ki abadi Hamaishah rote hain hum daikh ker der-o-deewar Na pooch baikhudi aishe muqadme sailab Ki nachte hai pade ser ba ser der-o-deear Na kah kisi se ki Ghalib, nahin zamane mein Haree raze muhbbat, , magar der-o-deewar ******************************************* Gher jab bana liya tere derb per kahe bagair Jane ga ab bhi too na mera gher, kahe bagair Kahte hain, jab rahi na mujhe taqate sukhan Janon kisi ke dil ki main kiyon ker kahe bagair Kam uska aa pada hai ki jis ka jhan mein Laiwey na koi nam sitamger kahe bagair Ji mein hi kuch nahin hai hamare, wagerna hum Ser jaei yaar hai, na rahein per kahe bagair Chodonga main na us bute kafir ka poojna Chodey na khalq go mujhekafir kahe bagair Maqsad hai naaz-o-gamzah, wale guftagu mein kam Chalta nahin, dashnah-o-khanjar kahe bagair Bahra hon mein mujh ko chahiye dona hua iltefat Sunta nahin hon bat mukarrer kiye bgair Ghalib na ker huzoor mein too bar bar arz Zahir hai tera haal sab un per kahe bagair ******************************************* Kion jal gaya na, tabe rukhe yar daikh ker Jalta hon apnni taqate dedar daikh ker Atash parast kahte hai ahle jahan mujhe Ser germ nalah haai sharer bar daikh ker Kaya aabroai ishq, jhan aam ho jafa Rukta hon, tum ko be sabab azar daikh ker Ata hai mere qatl ko pur josh rashk se Merta hon us ke hath mein talwar daikh ker Sabit hua hai gerdane meena pe. Khoone khalq Lerze hai mauje mai teri raftar daikh ker Wahasrata! Ki yar ne kheencha sitam se hath Hum ko harrese lazzate azar daikh ker Bik jate hain hum aap mataye sukhan ke sath Laikin ayare tabe kharidar daikh ker Zunnar bandh, subhai sad danah tod dal Rahrao chaley hai rah ko hum war daikh ker In ablon se paon ke ghbra gaya tha main Ji khush hua hai rah ko pur khaa daikh ker Kaya bad guman hai mujh se ki aiene mere Tooti ka aks samjhe hain zangar daikh ker Girni thi hum pe berqe tajalli na toor per Daite hain badah zerf qdah khuwar daikh ker Ser fodna woh Ghalib shoridah hal ka

Yaad aa gaya mjhe, teri dewar daikh ker ******************************************* Larazta hai mera dil zahmate mohre darakhshan per Main hon woh qatrai shabnam ki ho khar biyaban per Na chodi hazrate usuf ne yan bhi khana arayee Safaidi deedai yaqoob ki phirti hai zindan per Fina taleeme terse zindagi hon us zamane se Ki mjnon lam alif likhta hai deeware dabistan per Fragat kis qader rahti hai mujhe tashweshe merham se Bahem ger sulah kerte parah haye dil namakdan per Nahin aqleeme ulfat mein tomare naaz aisa Ki pushte chashm se, jis ke na howey Muhre unwan per Mujhe ab daikh ker abre shfaq alodah, yad aaya Ki furqat mein teri, atash barasti thi gulisatn per Bajuz perwaze shauqe naaz, kaya baqi raha hoga! Qayamat ek hawaye tund hai khake sheesan per Na lad naseh se Ghalib kaya hua ager us ne shiddat ki Hamara bhi to akhir zore chalta hai garaiban per

******************************************* Hai baski her ek un ke ishare mein nishan aur Kerte hain muhabbat to guzarta hai giran aur Yaarab! woh na samjhe hain na samjhenge meri bat De aur dil un ko, jo na de mujh ko zaban aur Abro se hai kaya us nigahe naaz ko paiwand Hai teer muqarrer magar uski hai kman aur Tum shaer mein ho to hamein kaya gum, jab uthenge Le ayenge bazaar se jaker dil-o-jaan aur Her chand subuk dast huai but shikani mein Hum hain to abhi rah mein hai sunge geran aur Hai khoone jigar josh main, dil khol ke rota Hote jo koi dedai khoon nabah fishan aur Merta hon is awaz pe, her chand ki ser ud jaai Jallad ko lakin woh kahe jaien ki "han' aur" Logon ko hai khurshide jahan tab ka dhoka Her roz dikhata hon ek dage nihan aur Laita na agar dil tumhien daita, koi dam chain Keta jo na merta koi din, aah-o-fugan aur Pate nahin jab rah, to chud jate hain nale Rukti hai mei taba to hoti hai rawan aur Hain aur bhi duniya mein sukhanwer bahut achche Kahte hain ki Ghalib ka andaze bayan aur ******************************************* Safaye hairate aiena hai, samane zang akhir Tagaiur, aab ber ja mandah ka, pata hai rung akhir Na ki saman aish-o-jaah ne tadbeer-o-wahshatki Hua jame zamurrad bhi mujhe dage palng akhir *******************************************

Junon ki dastagiri kis se ho, ger ho na uryani Garaiban chak ka haq ho gaya haimeri gerdan ka Barange kagaze atash zdah neerange baitabi Hazar aiena dil bandhe hai bale yk tapedan per Falak se hum ko aishe raftah ka kaya kaya taqaza hai Mataye burdah ko samjhe huia hain qerz rahzen per Hum aur who be sabab runj ashna dushman, ki rakhta hai Shuai mohr se tohmat nigah ki chash me rozan per Fana ko saunp ger mshtaq hai apni haqeeqat ka Faroge tale khashak hai mauqoof gukhan per Asad bismil hai kis andaz ka qatil se khta hai Ki"mashqe naaz ker, khoone dualam meri gerdan per ******************************************* Sitam kash maslehat se hon ki khooban tujh pe aashiq hain Takalluf bertraf, mil jayega tujh sa raqeeb akhir ******************************************* Lazim tha ki daikho mera rasta koi din aur Tanha gai kiyon, ab raho tanha koi din aur Mit jaiga ser, ger tera patther na ghise ga Hoon der pe tere nasiya fersa koi din aur Aye ho kal aur aaj hi kahte ho ki jaoon Mana ki hamaisha nahin, achcha koi din aur Jate ho kahte ho qyamat ko milein ge Kaya khoob qayamat ka hai goya koi din aur Han, ai falake peer!jawan tha abhi arif Kaya tera bigadta jo na merta koi din aur Tum mahe shabe char dahum the mere gher ke Phir kion na rha gher ka naksha koi din aur Tum kaun se the aise khare da dostad ke! Kerta malak-ul-maut taqaza ki din aur Mujh se tumehn nafrat sahi, nayyer se ldayee Bachchon ka bhi na daikha tha tmasha koi din aur Guzri na bher hal ye muddat khush-o-nakhush Kera tha jawan merg! Guzara koi din aur Nadan ho kiyon kahte ho ki jite hain Ghalib! Qismat mein hain merne ki tamanna koi din aur Farigh mujhe na jaan, ki maninde subho maher Hai daghe ishq zeenate jaibe kafan hunooz Hai naz mufsilan zare az dast raftah per Ho gul farosh shokhiye daghe kohan hunooz Maikhanai jigar mein yahan khak bhi nahin Khamyazah khinche hai bute bedade fun hunooz ******************************************* Hareefe matlabe mushkil nahin fusoone niyaz Dua qabool ho yaarab ! umre khizre draaz Na ho bah herzah, biyanban naurade waheme wajood Hunooz tere tasaur mein hai nashaib-o-fraz *******************************************

Wesale jalwah tamashaye, per dimagh kahan Ki dejiye aienai intezar ko perwaaz Her eik zarrai aashiq hai aaftab parast Gaye na khak huai per hawaye jalwai naaz Na pooch wosate maikhanai junon Ghalib! Jahan ye kasai gerdon hai eik khak andaz ******************************************* Wosate saie karam daikh kih ser ta ser khak Guzre hai aabla pa abre goher bare hunooz Yak qalam kaghaze aatash zadah hai safhai dasht Naqshe pa mein hai tabe germi raftare hunooz Kiyon ker us butse rakhoon jaan azeez Kaya nahin hai mujhe ieman azeez! Dil se nikla, pah na nikla dil se Hai tere teer ka paikan azeez Taab laye hi bane gi Ghalib! Waqia sakht hai aur jaan azeez ******************************************* Na gule naghmah hon na perdai saaz Main hon apni shikast ki aawaaz To, aur araishe khame kakul Main aur andazhaai door-o-draaz Laafe tamkeem : faraibe sadah dili Hum hain, aur razhai seena gudaaz Hon giraftare ulfate sayyad Werna baqi hai taqate perwaaz Woh bhi din ho ki us sitamger se Nazz khinchon bajai hasarte naaz Nahin dil mein mere woh qatrai khoon Jis se masgan huyee ho gulbaz Ai tera ghamzah ek qalam angaiz Ai tera zulm, ser baser andaaz To hua jalwah ger, mubarak ho Raizishe sajdai jabeene neyaz Mujh ko pooch to kuch ghazab na hua Main ghareeb aur to ghareeb nawaaz Sad-ul-laah khan tamam hua Ai daraigha, woh rinde shahid baaz! Masdah, ai zauqe aseeri! Ki nazar aata hai Dame khali, qafase murghe giratar ke paas Jigare tashnai azaad, tasalli na hua Jooai khoon hum ne bahaie bune her khar ke paas Mund gaien kholte hi aankhine hai hai ! Khub waqt aayie eis aashiqe bimar ke paas Main bhi ruk ruk ke naa marta' jo zaban ke badle Dushna ek tez sa hota mere ghamkhuwaar ke paas Dahane sher mein jaa bathe lekin ayi dil ! Naa khade ho jaiye khubane dil aazar ke paas Dekh kar tujhko chaman baske namu karta hai Khud bkhud pahunchein hai gulgoshai dastar ke paas

Mar gaya phod ke sir ghalib wehshi hai hai ! Baithna uska who' aakar teri deewar ke paas Naa lewe gar khase johar tarawat sabzai khat se Lagai khanai aaine mein ruiye nigar atish Faroghe husan se hoti hai halle mushkile aashiq Naa nikle shama ke pase' nikale gar naa khar atish Jadai reh khoor ko waqte sham hai tare shaa Charkh wakarta hai mahe nau se aghoshe wida ******************************************* Rukhe nigar se hai soze jawedani shama Huie hai atashe gul aabe zindgani shama Zubane ahle zuban mein hai merg khmoshi Ye baat bazam mein raushan huei zabani shama Kare hai sirf bah iemaai sholai qissa tamam Bah terse ahle fana hai fasana khuani shama Gham uski hasrate perwanah ka hai ai shole! Tere larazne se zahir hai natawani shama Tere khayal se rooh ehtaraz kerti hai Bah jalwah raizi bad-o-bah pur fishani shama Nishate daaghe ghame ishq ki bahar na pooch Shaguftagi hai shaheede gule khizani shama Jale hai, daikh ke baleene yaar per mujh ko Na kiyon ho dil pe mere daghe badgumani shama Beeme raqeeb se nahin kerte widae hosh Majboriyan talak huai ai akhtiyare, haif! Jalta hai dilki kiyon na hum ek bar jal gai Ai na tamami nafse shoal bare haif! Zakhm per chidkin kahan tiflane be perwa namak Kaya maza hota agar patther mein bhi hota namak Girde rahe yaar hai samane naaze zakhme dil Wernah hai jahan mein kis qader paida namak Mujh ko arzani rhai, tujh ko mubarak ho namak Nalai bulbul ka dard aur khandai gul ka namak Shore jolan tha kinare baher per kiska ki aaj Girde sahil hai bah zakhme maujai dariya namak Daad daita hai mere zakhme jigar ki wah wah! Yaad kerat hai mujhe daikhe hai woh jis ja namak Chodker jana tane majroohe aashiq haif hai Dil talab kerta hai zahkam aur mange hain aaza namak Gair ki minnat na kheechonga pai taufeer derd Zakham misle khndai qatil ser ta pa namak Yaad hain Ghalib !tujhe woh din ki wajde shauq mein Zakham se girata, to main palkwon se chunta tha namak ******************************************* Aah ko chahiye ek umr aser hone tak Kaun jita hai tere zulf ke ser hone tak Dam her mauj mein hai halqai sad kame nahnag

Dakhein kaya guzrein hain qatre pe guher hone tak Aashiqi sebr talab, aur tamanna baitab Dil ka kaya rung karon khoone jiger hone tak Hum ne mana ki taghaful na karoge laikin Khak ho jain ge hum tum ko khabar hone tak Pertawe khoor se, hai shabnam ko fana ki taleem Main bhi hon eik enayat ki nazar hone tak Yak nazar baish nahinfursate hasti ghafil! Germie bazam hai ek raqse sharer hone tak Ghame hasti ka!kis se ho juz mege ilaaj Shama her rung mein jalti hai shaher hone tak Ger tujh ko yaqeen ejabate, dua na maang Yani bagair yak dile be muddua na maang Aata hai daaghe hasrate dil ka shumare yaad Mujh se mere gunah kahisab, ai khuda na maang Hai kis qader halake faraibe wafaye gul Bulbul ke karobar pe hain khandhai gul Azadiye naseem mubarak ki her taraf Toote padein hain halqai, dame hawai gul Jo tha, so mauje rung ke dhoke mein mer gay Ai waye nalai labe khooneim nawai gul! Khosh haal us hareefe seeyeh must ka ki jo Rakhta ho misle sayaye, ser bah paye gul Ijad kerti hai use tere liye bahar Mera raqeeb hai nafase etre saye gul Shermindah rakhte hai mujhe bade bahar se Meenaai be shrab-o-dile be hawaye gul Satwat se tere jalwai husne ghayoor ki Khoon hai meri nigah mein runge adai gul Tere hi jalwe ka hai ye dhoka ki aaj tak Be akhtiyar daude hai gul derqafaye gul Ghalib ! mujhe hai us se hai hum aaghoshi arzoo Jiska khaial, haigul jaib qabai gul Gham nahin hota hai azadon ko baish az yak nafas Berq se krte hai raushan shamai matam khana hum Mahfilein berham kere hai ganjafa baze khayal Hain waraq gerdani neerune yak but khanah hum Bawajood yak jahan hangamai, paidayee nahin Hain chiraghane shabistane dile perwanah hum Zof se hai ne qanaat se ye terke justajo Hain wabale takiyah gahe himmate merdana hum Daim-ul-habas is mein hai lakhon tamannaein Asad! Jante hain seenai pur khoon ko zindan khanah hum ******************************************* Bah nalah hasile dilbastagi frahum ker Mataie khanai zanjeer juz sada maloom ******************************************* Mujh ko dayare gair mein mara watan se door

Rakhli mere khuda ne meri baikasi ki sherm Woh halqah hai julf kameen mein hain, ai khuda! Rukh lijio mere dawe warastagi ki sherm Loon dame bakhte khaftah se yak khuabe khosh wale Ghalib ! ye khauf hai ki khan se ada karoon ******************************************* Woh firaq aur woh wisal kahan Woh shab-o-roz wo maah-o-sal kahan Fursate karobare shauq kise Zauqe nazzarai jamal kahan Dil to dil woh dimagh bhi na raha Shore saudaye khat-o-khaal kahan Thi woh ek shakhs ke tasauur se Ab woh ranaiye khayal khan Aisa aasan nahin lahoo rona Dil mein taqatr jiger mein haal kahan Hum se chota qumar khanai ishq Wan jo jaein girah mein maal kahan Fikre duniya mein ser khpata hon Main kahan aur ye wabaal kahan Muzmahil ho gai qawa Ghalib ! Woh anasir mein aitedal kahan ******************************************* Ki wafw hum se, to gair us ko jafa kahte hain Hoti aayee hai ki achchon ko bura kahte hain Aaj hum apni parishani khatir un se Kahne jate to hain, per daikhiye kaya kahte hain Agle waqton ke hain ye log unhein kuch na kaho Jo mai-o-naghmah ko andohruba kahte hain Dilmein aajate hai, hoti hai jo fursat ghash se Aur phir kaun se nale ko rasa kahte hain Hai pere serhade adraak se apna masjood Qible ko ahle nazar, qiblak numa kahtein hain Paye afgar pe jab se tujhe rahm aya hai Khare rah ko tere hum mohre giya kahte hain Ek sharer dil mein hai, su se koi ghabraye ga Aag matloob hai hum ko jo hawa kahtein hain Daikhiye lati hai us shokh ki nakhwat kaya rung Us ki her bat per hum name khuda kerte hain Wahshto shaifta ab mersiys kahwein shayad Mer gaya ghalibe aashaftah nawa kahtein hain ******************************************* Aabro kaya khak us gul ki gushan mein nahin Hai gariban nanuge pairahan, jo daman mein nahin Zof se ai giryah! Kuch baqi mere tan mein nahin Rung ho ker udgaya, jo khon ke daman mein nahin Ho gai hain jama ajzaye nigahe aaftab Zarre uske gher ki deewaron ke rauzan mein nahin Raunaqe hasti hai ishq khana weeran saz se

Anjuman be shama hai, ger berqe khirman mein nahin Zakhm silwane se mujh pe charai jooi ka taan Gair samjha hai ki lazzat zakhme sozan mein nahin Baski hum hain eik bahare naaz ke mare huai Jalwai gul ke sewa, gerd apne madfan mein nahin Qatrah qatrah eh hiyolahai, nai nasoor ka Khoon bhi, zauqe derd se farigh mere tan mein nahin Le gaye saqi ki nakhwat, qulzame ashami meri Mauj mai ki aaj rag, meena ki gerdan mein nahin Ho fisher zof mein kaya natawani ki ki namood! Qad ke jhukne ki bhi gunjaish mere tan mein nahin Thi waten mein shan kaya, ghalib!kih ho gurbat mein qadar Be takalluf, hon who mushte khaskih gulkhan mein nahin ******************************************* Ohde se madhe naaz ke baher na aasaka Ger eik ada ho to use apni qazakahon Halqe hain, chashm hai kushadah bsooai dil Her tare zulf ko nigah surma sa kahon Zalim mere guman se mujhe munfail na chah Hai hai, khuda nakerdah, tujhe bewafa kahon! ******************************************* Meherban ho ke bula lo mujhe chaho jis waqt Main gaya waqt bhi nahin ho ki phir aa bhi nasakon Zof mein tanai aghiyar ka shikwah kaya hai Bat kuch ser bhi nahin hai ki utha bhi na sakon Zaher milta hi nahin mujh ko sitam ger werna Kaya qasam tere milne ki kih kha bhi na sakon ******************************************* Hum se khul jaao bah waqte mai parasti eik din Wernah hum chadenge, rakh ker uzre masti eik din Gharai auje banai aalame imkan na ho Is bulandi ke naseebon mein hai pasti eik din Qerz ke peete the mai, samjhte the ki han, Run g lawey gi hamari faqah masti eik din Naghmahai gham ko bhi, ai dil ghneemat janeye Be sada ho jaiga ye saze masti eik din Dhool dhappa us srapa naaz ka shaiwah nahin Hum hi ker baithe Ghalib paish dasti eik din ******************************************* Hum per jafa se, terke wafa ka guman nahin Ek chaid hai, wo ger nah murade imtehan nahin Kis munh se shuker kijiye is lutfe khas ka Pur shis hai aur pai sukhan dermiyan nahin Hum ko sitam azeez sitam ger ko hum azeez Na meherban nahin hai ager meherban nahin Bosa nahin, na dejiye, dashna m hi sahi Aakhir zuban to rakhte ho tum, girdahan nahin Her chund jan gudazi qahro atab hai

Her chund pushte germi-o-tawan nahin Jaa'n mutrabe tranai hulmimmurid hai Lab, perdai sanje zamzamai alaman nahin Khanjer se cheer seena age dl na ho doneem Dil mein churi chibho ezah ker khonchkan nahin Hai nanage dil ager atash kadah na ho Hai adil, nafas az rafshan nahin Nuksa'n nahin, junoon mein bla se ho gher khrab Sau gaz zamin ke badle biyaban giran nahin Kahte ho kaya likha hai teri ser nawisht mein! Goya jabin pe sajdai but ka nishan nahin Pata hon us se dad kuch apne kalam ki Roohul qudus agerche mera hum zuban nahin Jaan hai bahai bosa, wale kiyon kahein abhi Ghalib ko janata hai ki woh neem jan nahin

******************************************* Mane dashte nawerdi koi, tadbeer nahin Eik chakker hai mere paon mein zanjeer nahin Shauq us dasht mein daudaein hain ki jahan Jadahai, gair az nigah deedai rasweer nahin Hasrate lazzate azaar rahi jati hai Jadai rahe wafa juzdame shamsheer nahin Runj naumeediye jawed! Gawarah rahiyo! Khosh ho ger nalah zabooni kasha taseer nahin Ser khujata hai jhan zakhme ser achcha ho jaye Lazzate sung bah andazai taqreer nahin Jab karam rukhsate baibaki-o- gustakhi de Koi taqseer bajuz khijlate taqseer nahin Ghalib apna ye aqeedah hai baqaule nasikh Aap be bahrah hai, jo motaqide meer nahin ******************************************* Mat merdumake dedah samjho yeh nigahein Hain jama soaidaye dil chashmein aahein ******************************************* Ber shegale giryai aashiq hai daikha chahiye Khul gaie maninde soja se deeware chaman Ulfate gul se ghlata hai dawai waristagi Serwo hai bawasfe azadiye giraftare chaman ******************************************* Ishe tseer se naumeed nahin Jaan sapari shajrai baid nahin Saltanat dast badast aayee hai Jame mai khatime jamshaid nahin Hai tajalli teri samane wajood Zarrah be pertawe khursheed nahin Raze mashook na ruswa ho jaai Wernah mer jane mein kuch bhaid nahin

Gerdishe rung tarab se der hai Ghame mahroomiae jawed nahin Kahte hain jeete hain ummeed pe log Hum ko jeene ki bhi ummeed nahin ******************************************* Jahan tera naqshe qadam daikhte hain Khaiaban khaianban iram daikhte hain Dile aasheftgan, khale kunje dahen ke Soaida mein saire adam daikhte hain Tere serwe qamat se ek qadde aadam Qyamat ke fitne ko hum daikhte hain Tamashah ki aimahwe aiena dari! Tujhe kis tamanna se hum daikhte hain Suraghe tafe nalah, le daghe dil se Ki shab roka naqshe qadam daikhte hain Bana ker faqeeron ka hum bhaisGhalib! Tamashaye ahle karam daikhte hain ******************************************* Milti hai khooai yaar se naar, ilteahb mein Kafir hon ger na milti ho rahat azaab mein Kab se hon, kaya btaon jahane khrab mein Shab haai hijr ko bhi rakhon ger hisab mein Ta phir na intezar mein neend aaye ta umr bher Aane ka ahed ker gai, aye jo khuab mein Qasid ke aate aate, khat ek aur likh rakhon Main janta hoon jo woh likhein gey jawab mein Mujh tak kab un ki bazm mein aaya tha daure jaam Saqi ne kuch mila na diya ho shrab mein Jo munkire wafa ho, faraib us pe kaya chale Kion badguman hon dost se dushman ke bab mein Main muztarib hon wasl mein khaufe raqeeb se Dala hai tum ko wahm ne kis paich-o-tab mein Main aur haze wasle, khuda sa zabat hai Jaan nazer daini bhool gaya izterab mein Hai teuri chadi huie ander neqab ke Hai ek shikan padi huie terfe neqab mein Lakhon lgao eik churana nigah ka Lakhon bnaao eikbigadna ataab mein Woh nalah dil mein khas ke braber jagah na paai Jis nale se shegaf pade aaftaab mein Woh sahre muddua talabi mein na kam aai! Jis sher se safeena rawan ho srab mein Ghalib !chuti Shrab, per ab bhi kabhi kabhi Peeta hon roze abro shabe mahtaab mein ******************************************* Kal ke kiye, ker aaj nah khast shrab mein Ye sozan hai saqiye kouser ke bab mein Mein aaj kiyon zalil ki kal na thi pasand Gustakhi farishtah hamari janab mein Jaan kiyon nikalne lagti hai tan se dame sma

Ger woh sada samayee hai chung-o-rubab mein Rau mein hai rakhshe umr, kahan daikhiye thame Ne haath baag per hain na pa hai raqab mein Itna hi mujh ko apni haqeqat se bod hai Jitan ki wahme ghair se hoon pach-o-tab mein Asle shhood-o-shahid-o-mashhood eik hai Hairan hon phir mushahidah hai kis hisab mein! Hai mushtamil namoode soor per wajoode baher Yan kaya dhra hai qatrah-o-mauj-o-hubab mein Sherm ek adaye naaz hai apne hi se sahi Hain kitne be hijab ki hain yon hijab mein Aaraishe jamal se farigh nahin hunooz Paishe nazar hai aiena daim neqab mein Hai ghib ghai jis ko samajhte hain hum shhood Hain khuabmein hunooa, jo jage hain khuab mein Ghalib nadeeme dost se aati hai boai dost Mashghoole haq hon, bandagiye boturab mein ******************************************* hairan hon dil rouon kih peeton jiger komain maqdoor hoto sath rakhon nauhager ko main choda na rashk ne ki tere gherka nam loon her ek se poochta hon ki jaon kidher ko main? Jana pada raqeeb ke der per mujhe hazar Ai kaash !janta na tere rahguzer ko main Hai kaya jo kas ke bandhe meri bladre Kaya janta nahin hon tumhari kamer ko main Lo woh bhi kahte hain ki wo be nanag-o-naam hai Ye janta ager, to lutata na gher ko main Chalta hon thodi door her ek taiz roo ke sath Pahchanta nahin hon abhi rahber ko majn Khuahish ko ahmaqon ne ne perastish diya qarar Kaya pojta hon us bute baidad ger ko main? Phir baikhudi mein bhool gaya rah koye yaar Jata wager nah eik din apni khaber ko main Apne pe ker rah hon qyas ahle daher ka Samjha hon dil pazeer mataye hunar ko main Ghalib ! khuda kere kih saware samande naaz Daikhon ali bahar dare aali guher ko main ******************************************* Zikr mera, bah badi bhi use manzoor nahin Ghair ki baat bigad jaye to kuch door nahin Wadai saire gulistan hai khusha tale shauq Mazdai qatl muqadder hai jo mazkoor nahin Shahide hastiye mutlaq ki kamer hai aalam Loog kaite hain ki hai, per hamein manzoor nahin Qatrah apna bhi haqeeqat main hai dariya laikin Hum ko taqleede tanak zerfiye mansoor nahin Hasrat ai zauqe khrabi! Kih woh taqat na rahi Ishq per arbdah ki gon tane rajoor nahin Main jo kahta hon main longa qayamat mein tujhe Kis raoonat se woh kahte hain ki hum hoor nahin

Zulm ker zulm, agr lutfe daregh aata hai To taghaful mein kisi rung se mazoor nahin Saaf durdi kashe paimanai jam main hum loog Waai ! woh badai kih afshurdai angoor nahin Hon zuhoori ke muqabil mein khafayee Ghalib Mere dawe pe yeh hujjat hai kih mashhoor nahin ******************************************* Nalai juz husn talab, ai sitam ijad nahin Hai taqazai jafa, shikwai baidad nahin Ishq-o-mazdoori asher taghe khusro, kaya khoob! Hum ko tasleem nako naami ferhad nahin Kum nahin woh bhi khrabi mein, pe usat maloom Dasht mein hai mujhe woh aish kih gher yaad nahin Ahle maktab ko hai toofane hawadis maktab Latmai mauj kam az saile ustad nahin Waai ! mahroomia tasleem wabda! Haale wafa Janta hai ki hamein taqate fariyad nahin Runge tamkin gul-o-lalah, parishaniyon hai Ger chiraghan sare rah guzare bad nahin Sabad gul ke tale band kare hai gulchein Mazdah, ai murgh! Kih guzar main sayyad nahin Nafi se kerti hai isbat trawish goya Di hi jame dahen usko dame ijaad nahin Kam nahin jalwah gari mein tere koche se bahisht Yahi naqshah hai wale is qader abad nahin Kerte kis munh se ho ghurbat ki shikatyat Ghalib! Tum ko be mohri yaarane watan yaad nahin! ******************************************* Dono jahan de ke woh samjhe ye, khush raha Yan aapadai hai ye sherm ki takrar kaya karien Thak thak ke her muqam pe do char rah gai Tera patah na payein, to nachaar kaya kare! Kaya shama ke nahin hain hua khuah ahle bazam! Ho gam hi jaan gudazmto ghakhuar kaya kare ******************************************* Ho gayee hai ghair ki sheerien bayani kar ger Ishq ka us ko guman hum be zabanon per nahin ******************************************* Qyamat hai ki sun laila ka dashte qais mein aana Taajjub hai woh "yon bhi hota hai zamane mein!" Dile nazuk pe us ko rahem aata hai mujhe Ghalib! Na ker ser germ us kafir ko ulfat aazmane mein ******************************************* Dil laga ker, lug gaya un ko bhi tanha chodna Bare, apni baikasi ki hum ne payee dadiyan Hain zawal aamadai ajza aafrinash ke tamam Maher gerdon hai, chiragh rahguzaare badiyan

******************************************* Ye, hum jo hijr mein, deewar-o-der ko daikhte hain Kabhi saba ko kabhi namah ber ko daikhte hain Woh aaye gher mein hamari khuda ki qudrat hain! Kabhi hum un ko kabhi apne gher ko daikhte hain Nazar lage na kahin us ko dast-o-bazo ko Ye log kiyon mere zakhme jiger ko daikhte hain Tere jawaher terfe kulah ko kaya daikhein! Hum auje tale lal-o-guher se daikhte hain ******************************************* Nahin ki mujh ko qayamat ka aiteqad nahin Shabe firaq se roze jaza ziyad nahin Koi kahe ki shabe mah mein kaya burayee hai Bala se aaj ager din ko abro bad nahin Jo aaon samne un ke to merhaba na kahein Jo jaon wan se kahin ko to khai bad nahin Kabhi jo yaad bhi aata hon main to kahte hain Ki aaj bazam mein kuch fitna-o-fasad nahin Alawah eid ke milti hai aur din bhi shrab Gadaye koocha, maikhanah na murad nahin Jahan ho shdi-o-gham bahem hamein kaya kaam Diya hai hum ko khuda ne woh dil ki shad nahin Tum un ke wade ka zikr un se kiyon kion karo ghalib! Ye kaya ki tum kaho aur woh kahien ki "yaad nahin" ******************************************* Tere to sun ko saba bandhte hain Hum bhi mazmon ki hawa bandhte hain Aah kisne aser daikha hai! Hum bhi ek apni hawa bandhte hain Teri fursat ke muqabil, ai umar Berq ko pa ba hena bandhte hain Qaide hasti se rihayee maloom Ashq ko be ser-o-pa bandhte hain Nashai rung se hai washide gul Must kab bande qaba bandhte hain Ghalti haye muzamein mat pooch Log nale korasa bandhte hain Ahle tadbeer ki wamandgiyan! Ablon per bhi hena bandhte hain Sadah pur kar hain khoban ghalib! Hum se paimane wafa bandhte hain ******************************************* zamanah sakht kum aazar hai bajan Asad wger na hum to tawaqqo zyaad rakhte hain ******************************************* Daim pada hua tha tere der per nahin hon main Khak aisee zidagi pe ki patther nahinhon main Kiyon gerdishe mudam se ghabra na jaye dil Insan hon pyala-o-sagar nahin hon main

Yaa rab! Zamanah mujh ko mitata hai kis liye? Lauhe jahan pe herfe mukarrer nahin hon main Had chahiye saza mein, aqoobat ke waste Aakhir gunah gaar hon kafir nahin hon main Kis waste azeez nahin jante mujhe ? Lal-o-zammurad-o-zer-o-gauher nahin hon main Rakhte ho tum qadam meri aankhon se be daraigh Rutbe mein mahr-o-maah se kamter nahin hon main Kerte mujh ko mana qadam bos kis liye! Kaya aasman ke bhi braber nahin hon main Ghalib, wazeefah khuar hon, do shah ko dua Who din gai ki kahte the nauker nahin hon main ******************************************* Sab kahan kuch lala-ogul mein numayan ho gaien Khak mein, kaya sooratein hongi jo pinhan ho gaien Yaad thin hum ko bhi runag rung bazma aaraiyan Laikin ab naqsh-o-nigare taaq nisiyan ho gayein Thin banat-un-nash gerdon din ko perde mein nihan Shab ko un ke ji mein kaya aayee ki uriyan ho gaien Qaid main yaqqoob ne na lee go na usuf ki khber Laikin aankhien rauzan deware zindan hogaien Sab raqeebon se hon nakhush, per zanane misr se Hai zulaikha khush kih mahwe maahe kanaan ho gaien Joai khon aankhon se bahne do ki haishame firaq Main yeh sajhonga kih shamien do farzan ho gaien I parizadon se lemgey khuld mein hum inteqam Qudarate haq se yahi hoorien, agerwan ho gaien Neend uski hai, dimagh uska hai ratein uski hain Teri zulfien jis ke bazoo per parishan ho gaien Main chaman mein kaya gaya, goya dabistan khul gaya Bulbhlien sun sun ker mere nale ghzal khaun ho gaien Woh nigahien kiyon huie jaati hain yaarab! Dil ke par Jo meri kotahi qismat se masgan ho gaein Bas kih roka main ne, aur seene mein ubhrien pai bah pai Wan gaya bhi main, to un galiyon ka kaya jawab! Yaad thi jitni duaein serfe derban ho gaein Janfaza hai badah jis ke hath mein jaam aa gaya Sab lakirien hath ki goya ragien jaan ho gaien Hum to mohhid hain, hamar kaish hai terke rasoom Miltien jab mit gaien, ajzaye iman ho gaien Runj se khoger hua insan to mit jata hai runj Mushkilein mujh per padien kih asan ho gaien Yon hi ger rota raha Ghalib, to ai ahle jahan Daikhna in bastiyon ko tum kih weeran ho gaein

******************************************* Deewangui se, dosh pe zunnar bhi nahin Yanee hamare jaib mein ektar bhi nahin Dil ko neyaze hasrate deedar ker chuke Daikh to hum ne taqate deedar bhi nahin

Milna ager tera aasan to sahel hai Dushwar to yahi hai kih, dushwar bhi nahin Be ishq umr kat nahin sakti hai aur yan Taqat baqadre lazzate aazar bhi nahin Shoridgi ke hath se hai ser-o-bale dosh Sahra mein ai khuda! Koi deewar bhi nahin Gunjaishe adawte aghaiar ek taraf Yan dil mein zof se hawse yaar bhi nahin Der nalah hai zarse mere khuda ko maan Aakhir nawai murghe giraftar bhi nahin Dil mein hai yaar ki safe masgan se rokashi Halan kih taqate khalishe khar bhi nahin Is sadgi pe kaun na mer jaai ai khuda ! Ladtein hain aur hath mein talwar bhi nahin Daikha Asad ko khilwat-o-jalwat mein barha Deewana ger nahin hai to hushiyaar bhi nahin ******************************************* Nahin hai zakham koi, bakhiye ke der mere tan mein Hua hai tar ashk yaas, rishtah chashm sozan mein Huia hai mane zauq tamasha, khanah weerani Kafe sailab baqi hai barunge punbah rauzan mein Wadeeat khanai baidad kawish haai masgan hon Nagin name shahid hai mere her qatrah khoon tan mein Bayan kis se hozulmat gastari mere shbistan ki Shabe mah ho jo rakh dein panbah deewaron ke rauzan mein Nakohash, mane be rabtie, shore jujon aayee Hua hai khandai ahbab.bakhiyah jaib-o-daman mein Huai is mahrawish ke jalwai tamsal ke aage Pur afshan jo her aiene mein misle zarrah rauzan mein Najano naik hon yaa bad hon, per sohbat mukhalif Jo gul hon to hon gulkhan mein, jo khas hon to ho gulshan mein Hazaron dil diye, joshe junone ishq ne mujh ko Seeh hoker sowaida ho gaya her qatrah khoone tan mein Asad! Zidani taseer ulfat haai khoban hon Khame daste nawazish ho gaya hai, tauq gwerdan mein ******************************************* Maze jahan ke apni nazar mein khak nahin Siwai khoone jiger, so jiger mein khak nahin Mager ghubar huai per, hawa uda le jaye Wger na tab-o-tawan, baal-o-per mein khak nahin Ye kis bahisht shimail ki aama aamad hai! Kih ghir jalwai, rah guzer meinkhak nahin Bhla use hi sahi kuch mujhi ko raham aata Aser mere nafase be aser mein khak nahin Khayal jalwai gul se khrab hain maikash Shrab khane ki deewar-o-der mein khak nahin Hua hon ishqe gharat gari se shermindah Sewai hasrate tameer ghe mein khak nahin Hamare shair hain ab sirf dillage ke Asad! Khula kih, faidah arze huner mein khak nahin

******************************************* Dil hi to hai nah sung-o-khasht, derd se bher ai kiyon! Roiange hum hazar bar, koi hamein sataai kiyon! Dair nahin, haram nahin , der nahin aastan nahin Baithe hain rah guzar pe, gair hamein uthai kiyon! Jab who jamaale dilfaroze, soorate mhre neem roze Aap hi ho nazzarah soz perde mein munh chipai kiyon! Dashnai ghamzah jaan satan, nawake naaz be panah Tera hi akse rukh sahi, samne tere ai kiyon! Qaide hayat-o- band gham, asl mein donon eik hain Maut se pahle! Aadmi njaat paye kiyon! Husn aur us pe husne zan, rah giyee bulhawas ki sherm Apne pe atemad hai ghair ko azmaein kiyon! Wan who gharooregazze naaz, yan ye hijabe pas waza Raah mein hum milein kahan, bazam mein who bulaye kiyon! Han who nahin khuda parast, jao be wafa sahi Jis ko ho dain-o-dil azeez, uski gali mein jaein kiyon ******************************************* Ghunchai na shaguftah ko door se mat dikha ke "yon" Bosey ko poochta hon munh mein bata ki "yon" "Pur sish terse dilbari kijeye kaya kih bin kahe Uske her ek ishare se nikle hai ye ada kih "yon" Raat ke waqt mai piye, sath raqeeb ko liye Ai woh yan khuda kare, per nah kere khuda kih yon Ghair se raat kaya bani? Yeh jo kaha, to daikhe Samne aan baithna, aur yeh daikhna kih yon Bazam mein uske robaro kiyon na kamosh baithe Uski bhi khamushi mein hai yahi muddua kih yon Main ne kaha kih "bazam naaz chahiye ghair se, tahi" Sun ke, sitam zareef ne mujh ko utha diya kih "yon?" Mujh se kaha jo yaar ne, "jatein hain hosh kis tarah?" Daikh meri baikhudi chalne lagi hawa ki "yon" Kab mujhe kowe yaar min rahne ki waza yaad thi Aiena daar bun gayee hairate naqshe pa kih yon Ger tere dil mein ho khayaal, wasl mein shauq ka zwaal Mauj, muheet aab mein mare hai dast-o- pa ki "yon" Jo ye kahe kih raikhtah kiyon ke ho rashke farsi?" Guftai ghalib eik bar pad ke us ko suna ki "yon" WAU Hasad se dil ager afsurdah hai, germe tamasha ho Kih chashme tang, shayad kasrate nazzarah se waho Baqadre hasrate dil, chahiye zauq maasi bhi Bharon yak goshai daman ger aab hafte dariya ho Ager wo ser, germ khrame naaz aajawe Kafe her khake gulshn, shakle qumri nalah fersa ho ******************************************* kabe mein ja raha, to na do tana kaya kahien bhoola hon haqqe sohbate ahle kunisht ko! Taat mein taar hai na mai wangbin ki laag Dozakh mein daal do koi laiker bahisht ko Hon munharif na kiyon rah-o-rasame sawab se

Taida laga hai qat qalam ser nawisht ko Ghalib ! kuch apni saee se lahna nahin mujhe Khirmen jale, ager na malakh khai kisht ko ******************************************* Waristah is se hain kih muhbbat hi kiyon na ho Kijiye hamare sath, adawet hi kiyon na ho Choda na mujh mein zof ne rung ikhtelat ka Hai dil pe baar nafshe muhbbat hi kiyon na ho Hai mujh ko tujh se tazkirai ghair ka ghilah Her chund ber sabeel shlkayat hi kiyon na ho Paida huyee hai, kahte hain, her derd ki dawa Yon ho, to charai ghame ulfat hi kiyon na ho Dala na baikasi ne kisi se muamilah Apne se kheenchta hon, khijalat hi kiyon na ho Hai aadmi bajai khud ek mahshare khaiaal Hum anjuman samajhte hain khilwat hi kiyon na ho Hungamai zabooni himmat, hai anfaal Hasil na kijiye daher se, ibrat hi kiyon na ho Waristagi bahanai baigangi nahin Apne se ker nah ghair se wahshat hi kiyon na ho Mitta hai faut fursate hasti ka ghum koi Umre azeez serfe ibadat hi kiyon na ho Is fitana kho ke der se ab uthte nahin Asad! Is mein hamare ser pe qayamat hi kiyon nahin *******************************************

Courtesy http://ghalibinroman.tripod.com/

View more...

Comments

Copyright ©2017 KUPDF Inc.
SUPPORT KUPDF